Saturday, July 17, 2010

Ek Haazari

Ek haazari ki mohtaaj hai jannat,
Jannat ka bhi kya kasoor?

Mizaaz hi hon jahaan par rookhe,
Hawa ke rukh ka kya kasoor?

Khud ki chod aaye dehleez par jaan,
To kaatil ka bhi kya kasoor?

Fitrat hi ho jab mezbaan,
Raat ka bhi kya kassor?

Betakkaluf hain sannata jahaan,
Wahaan lafzon ka bhi kya kasoor?

De chaahein daleelein bekasoori,
Behaazari ki hai sazaa!

Ilzaam ka jab ho muqaddar,
Wakeel ka bhi kya kasoor?

2 comments:

  1. amazin!! chhota sa suggestion..5th line-agar 'shabdon' ki jagah 'lafzon' ho jaye to maza aa jaye..

    fitrat hai thoda sa gyan dene ki,
    ab isme mera kya qasoor

    lol..

    ReplyDelete
  2. Thank you! It is better for the change :)

    ReplyDelete